Friday, August 28, 2015

Deedar


Kabhi voh a-ay, Jaisay koi yaad a-ay…
Har chaap pai, Baad-e-Saba a-ay…

Hur Lamha, Intezar-e-Deedar Hai….
Ab jo nazar a-ay, to Be-naqab a-ay…


Friday, July 31, 2015

Durd

Agar durd na hota, to shayad Pyar na hota…

Na khawishain Jigar ko kheechteen, na Dil pash pash hota…



Tuesday, July 21, 2015

Waqt


Har Aina ek Dareecha bun chuka hai…

Kya dekhtain hain hum, ek ajnabi mujhai dekhta hai…


Tuesday, June 23, 2015

Mizhgaan

Mizgaan kai uthnai par, Teer Andaz huai hain voh...

Kya ghazab Dhaai gee Tabassum ki Lalli,  Ub dekhyai...


Dil ki rahat gaee, andaz-e-adda sai ub...

Tabassum kai khillnai par kya hoga, ub dekhyai....




Saturday, June 13, 2015

Musavir

Mein Agar Shayar hota, to ek Musavir hota…

Rangoon ka Sehra likhta,

Hur Rubai'ee ko Chera Kehta,

Lakeeroon ko Khushkahati Kehta,

Tasveerroon ko Tasavur Kehta,

Mein Agar Shayar hota, to ek Musavir hota… 

Ilzam

Dil ko kyoon Ilzam daitai ho, ai Shayar.
        Jub kai yeh khalish, Jazbat mein uthtai hain...


Lahoo kai dauraan sai is ka kay laina.
        Jub kai yeh khyal, khyalat sai uthtai hain...

Shidat

Lafzoon mein shidat naheen, to kya.  
Sirf Khyal haseen bhi kafee hai...

Shairi to bus ek bahana hai.     
Kabhi Khyal musavarina hi kafee hai...